
~Atticus finch
Pita lavz kehna jitna aasan hai usse kahi jyada iski ehmiyat hai,
Kehte hai ki jab baccha janam leta hai tab sabse jyada dard maa ko hota hai pita ka kya hai usse kuch dard ka matlab nahi pata hota,
sach kahu toh maa se jyada dard pita ko hi hota hai janab kyunki uske sir ek zindagi nahi par do zindagi ko hasta khelta dekhne ka sapna hota hai,
Kehte hai na ki maa ka naya janam hota hai baccha hone par yakeen maano mera pita ka bhii naya janam hota hai,
Vo apni saari khwahish, saara dard, sara dukh baju mein rakh kar apne parivaar ko hasta dekhna chahta hai buss,
Vo apni office ki tension isliye ghar nahi laata taaki uska parivaar chain se rahe,
Agar maa bhukh lage toh khana khilati hai toh janab pita bhii har gum mein apke saath khada rehta apni takleef bhul kar,
Jeb khaali ho tab bhii mana nahi karega vo,
Apne baccho ko hasta dekhne ke liye har muskil se ladh jaega,
Vo pita hai janab agar samne mahakal bhi hoga toh usse bhii ladh jaega
~Shruti




